Tukdon ka hissab samjhao toh Zara.
Woh hissa jo tumhare nazdeek Aakar baithna chahta hai, usse tum dur rakhte ho.
Par poori main pasand hoon.
Woh jo hissa khule kapdon se bahar jhankta hai, usse tum dhakna chahte ho.
Par poori main pasand hoon.
Woh jo hissa ulat palat baatein karta hai, usse tum bolne nahi dete.
Par poori main pasand hoon.
Woh jo hissa jhagdalu hai, usse tum fatkar dete ho.
Par poori main pasand hoon.
Woh jo hissa tumhe jakad ke rakhna chahta hai, usse tumhe azaadi chahiye.
Par poori main pasand hoon.
Woh jo hissa tumhare liye tadapta, usse tum rone bhi nahi dete.
Par poori main pasand hoon.
Woh jo hissa tumhare junoon main khoya rehta hai, usse tum Duniyadari sikha dete ho.
Par poori main pasand hoon.
Woh jo hissa tumse vaade maangta hai, usse tum behla dete ho.
Par poori main pasand hoon.
Tumhara ganit lajawab hai!
Tukde mere napasand hai, par poori main pasand hoon.
Ye hissab samjhao toh Zara.
Comments