If one believes in a parallel universe, life is fucking easy.
Koi darr nahi hota, koi galti ho bhi gayi,
Toh kisi aur universe ki kisi aur life mai sahi kar lenge.
Is story mai agar Laila Majnu hain, aur judaii ka namak chakh na hi hamari kismat hai,
Toh kisi aur story mai toh pucca hum Prithviraj Samyukta ban jaate!
Shayad jo hum sapne dekhte hain, wohi hamari parallel life hai. Is liye toh wohi itni zyade achhi lagti hai.
Ek hi zindagi hai aisa soch kar hum hi depress ho jaate hain. Aisa sochein ki kahin aur kisi aur solar system mai humein hamara mukkamal jahan mil gaya hai.
Mere parallel universe mai jhanko zara,
Wahan koi rok tok nahi hai,
Na pyaar jatane mai,
Na ruthne manane mai,
Na haq jatane mai,
Koi tanhai nahi hai aansoo mai bheegi hui,
Koi guilt nahi dil ki baat kehne mai.
Tum meri jaan, mere kis universe mai ho?
Is wale mai?
Ya parallel wale mai?
Socha toh samajh aayi ki do hi shabd hain mujh pe laagu - DISPOSABLE aur DISPENSABLE.
Hai! In gajab labels ko rehne do yahin!
Aur ye pucca karte hain, ek parallel universe dhundh lete hain, aur wohin mil lete hain.
Agar pehchan ne mai dikkat ho toh, meri baazu pe gunta hua apna naam khoj lena!
Ya fir mere chehre pe apne chehre ki jhalak dekh kar tham jaana,
Nahi toh dhyaan se sunna meri jaan, ek dhadkan sunai degi tumhe, tumhare paas aane pe goonjegi jo.
Bas us hi jagah mil jaungi mai.
Aur mil gayi toh fir kisi aur universe ki talaash mat karna.
Comments